Jaun elia ghazal in english
Jaun elia ghazal lyrics in english font.!
Jism mein aag laga dun us ke,
Aur phir khud hee bujha dun us ko..
****************
Dil ki taklif kam nahi karte,
Ab koi shikwa ham nahi karte..
****************
Kitni dilkash ho tum kitna dil-ju hun mai,
Kya sitam hai ki ham log mar jayenge..
****************
Most Famous Ghazal Of Jaun Elia Sahab
Hamare zakhm-e-tamanna purane ho gaye hain,
Ke us gali me gaye ab zamane ho gaye hain,
Tum apne chahane walon kee baat mat suniyo,
Tumhare chahane wale diwane ho gaye hain,
Wo zulf dhup me furqat kee aayi hai jab yaad,
To badal aaye hain aur shamiyane ho gaye hain,
Jo apne tour pe hum ne kabhi guzare the,
Wo subh-o-sham to jaise fasane ho gaye hain,
Ajab mahek thi mere gul tere shabistan ki,
So bul-bulon ke wahan aashiyane ho gaye hain,
Hamare bad jo aayen unhe Mubarak ho,
Jahan the kunj wahan kar-khane ho gaye hain,
****************
Jaun elia ghazal lyrics in english -
Tang aghosh mein abad karunga tujh ko,
Hun bahot shad ki nashad karunga tujh ko,
Fikr-e-ijad mein gum hun mujhe ghafil na samajh,
Apne andaz par ijad karunga tujh ko,
Nashsha hai raah ki duri ka ke hamara hai tu,
Jane kis shahar mein abad karunga tujh ko,
Meri banhon me bahakne ki saza bhi sun le,
Ab bahot der me azad karunga tujh ko,
Main ki rahata hun ba-sad-naz gurezan tujh se,
Tu na hoga to bahot yaad karunga tujh ko….
****************
Jaun elia ghazal -
Kabhi jab mud’daton ke bad us ka samna hoga,
Sivae pas adab-e-takalluf aur kya hoga,
Yahan vo koun hai jo intikhab-e-gham pe qadir ho,
Jo mil jaye vahi gham doston ka mudda hoga,
Naved - e - sar - khushi jab aayegi us waqt tak shayad,
Hame zahr - e - gham - e – hasti gavara ho chuka hoga,
Salib - e - waqt par main ne pukara tha mohabbat ko,
Meri awaz jis ne bhi suni hogi hasa hoga,
Abhi ek shor-e-haa-o-hu suna hai sarbanon ne,
Wo pagal qafile ki zid me piche rah gaya hoga,
Hamre shouq ke asuda-o-khush-hal hone tak,
Tumhare ariz-o-gesu ka souda ho chukka hoga,
Navaen nikhhaten asuda chehre dil-nashin rishte,
Magar ek shaks is mahaoul me kya sochta hoga,
Hansi aati hai mujh ko maslahat ke in taqazon par,
Ke ab ek ajnabi ban kar use pahchanna hoga,
Dalilon se dava ka kaam lena sakht mushkil hai,
Magar is gham ki khatir ye hunar bhi sikhna hoga.
Wo munkir hai to phir shayad har ek maktub-e-shouq us ne,
Sar-angusht-e-hinayi se khalaon me likha hoga,
Hain nisf-e-shab vo divana abhi tak ghar nahi aaya,
Kisi se chandani raaton ka qissa chhid gaya hoga,
Saba shikva hai mujh ko un darichon se darichon se,
Darichon me to dimak ke siva ab aur kya hoga…
****************
Jaun elia poetry
Baat koi ummid ki mujh se nahi kahi gayi,
So mere khwab bhi gaye so meri nind bhi gayi,
Dil ka tha ek mudda jis ne tabah kar diya,
Dil me thi ek hi to baat vo jo faqat sahi gayi,
Janiye kya talash thi jaun mere vajud me,
Jis ko main dhundhta gaya jo mujhe dhundhti gayi,
Ek khushi ka haal hai khush-sukhanan ke darmiyan,
Izzat-e-shayeqin-e-gham thi jo rahi-sahi gayi,
Bud-o-nabud ki tamiz ek azaab thi ki thi,
Yaani tamam zindagi dhund me dubti gayi,
Us ke jamal ka tha din mera vajud aur phir,
Subh se dhup bhi gayi raat se chandani gayi,
Jab main tha shahr zaat ka tha mera har-nafas azab,
Phir main vahan ka tha jahan halat-e-zat bhi gayi,
Gard-fashan hun dasht me sina-zanan hun shahr me,
Thi jo saba-e-samt-e-dil jaane kahan chali gayi,
Tum ne bahot sharab
pi us ka sabhi ko dukh hai Jaun
Aur jo dukh hai vo
ye hai tum ko sharab pi gayi……
No comments: