Din guzar gayà aitbar meín ,
Raat kat gàyi intezar meiñ ,
Maza kahàn vasl-é-yaar mein ,
Lutf jo míla intezar méin ,
Unki ek nàzar kaam kar gayí !
Hosh ab kahàn Hóshiyar mein ,
Mere kàse mein kayenat haí !
Main hóon aap ke ikhtiyàr mein ,
Aankh to úthi phool ki taràf !
Dil ulajh gaya husn-é-khar meín ,
Tum se kyà kahe kitane Gam sahe hamñe !
Aei.! Be-wafa tere pyàr mein ,
Fikr-é-aashiyaan har khizaam kí !
Aashiyan jalaa har bàhar mein ,
Kis tarha yé Gham bhul jaye húm !
Vo juda huwa is bahar méin ....!
______________________________________________
Aane wali thi khizan maidan khali kâr dįyã ,
Kal hava - e - shab ñe saara lawñ khali kar díÿa ,
Ham tere khawabõn ki janñat se nikal kar aa gayē ,
Dekh terá qasr - e - aali - shañ khalì kar diyå ,
Aane wali thi khizan maidan ,,,,,,
Dushmanón ne shust bandhi khema - e - ummíd pãr ,
Dostōn ne daair - e - imkañ khåli kar díya ,
Bantñe nikla hai wo phoolon ke tohfé shahr meíñ ,
Is khabar par ham ñe bhi gul -dañ khalì kar dîya ,
Lé gaya wo sath apñe dil ki saari rouñaqhein ,
Kis qadar ye shahr tha gunjañ khali kâr díyà ,
Saari chidiyañ udh gayi mûjh ko akéla chhōd kar ,
Mere ghar ka sehñ aūr dalañ khali kar díya ,
Diary meín saare achhe Sher chún kar likh lìye ,
Ék ladki ñe méra divan khali kār dĩya ...
Aane wali thi khizan maidan ,,,,,,
Subscribe to:
Post Comments
(
Atom
)
No comments: