Murshid please aap mujhe waqt dijiye lyrics, Afkar alvi poetry lyrics

Afkar alvi murshid poetry lyrics-





Murshid please aap mujhe waqt dijiye lyrics -


Murshid Please Aap Mujhe Waqt Di Jiye,

Murshid Mai Aaj Aapko Dukhde Suna’unga,

Murshid Hamare Sath Bada Zulm Ho Gayaa,

Murshid Hamare Desh Me Ek Jang Chhid Gayi,

Murshid Sabhi Sharif Sharafat Se Mar Gaye,

Murshid Hamare Zahen Gariftar Ho Gaye,

Murshid Hamari Soch Bi Bazari Ho Gaye,

Murshid Bahot Se Mar Ke Ham Khud Bi Mar Gaye,

Murshid Hame Zeera Nahi Talwar Dii Gayi,

Murshid Hamari Zaat Pe Bothan Chad Gaye,

Murshid Hamari Zaat Palangoun Me Dab Gayi,

Murshid Hamare Waste Bas Ek Shaks Tha,

Murshid Wo Ek Shaks Bi Takdir Le Udhi,

Murshid Khuda Ki Zaat Pe Andha Yakin Tha,

Afsos Ab Yakin Bi Andha Nahi Raha,

Murshid Mohabbaton Ke Natayiz Kahan Gaye,

Murshid Meri To Zindagi Barbad Ho Gayi,

Murshid Hamare Gaon Ke Bachhon Ne Bi Kaha,

Murshid Ko Aakhe Aankhe Sada Hal Dekh Lein,

Murshid Hamara Koi Nahi Ek Aap Hai,

Ye Main Bi Jaanta Ho Ke Achha Nahi Huwa,

Murshid Mai Jal Raha Hoon Hawayein Na Di Jiye,

Murshid Azala Kijiye Dua’yein Na Dii Jiye,

Murshid Khamosh Rahe Ke Pareshan Na Kijiye,

Murshid Main Roona Roote Huwe Andha Ho Gaya,

Aur Aap Hai Ke Aap Ko Ahesas Tak Nahi,

Sabra Ki Jiye Sabra Ka Phal Mitha Hota Hai,

Murshid Main Bhokta Haan Ke Koi Shay Bhi Nahi Bachi,

Murshid Wahan Yazidiyat Aage Nikal Gayi,

Aur Parasa Namaz Ke Piche Padhe Rahe,

Murshid Kisi Ke Hath Mein Sab Kuch To Hai Magarl

Murshid Kisi Ke Hath Mein Kuch Bi Nahi Raha,

Murshid Main Lad Nahi Saka Par Chikata Raha,

Khamosh Rahe Ke Zulma Ka Hami Nahi Bana,

Murshid Jo Mere Yaar’ Bhala Chodein Rahene Dein.

Ache The Jaise Bi The Khuda Magfirat Kare,

Murshid Hamari Rounake Doori Nigal Gayi.

Murshid Hamari Dosti Shobhat Kha Gayi,

 Ye Kisne Khel Khel Mein Sab Kuch Ulat Diya,

Murshid Ye Kya Ke Mar Ke Hame Zindagi Mile,

Murshid Hamare Wirse Me Kuch Bhi Nahi So Ham

Be  Mousami Wafat Ka Dukkh Chod Jayenge ,

Murshid Kisi Zaat Se Koi Gila Nahi,

Apna Nasib Apni Kharabi Se Mar Gaya,

Murshid Wo Jiske Hath Mein Har Ek Chiz Hai,

Shayad Hamare Sath Wahi Hath Hai,

Murshid Dua’yein Chhod Tera Pool Khul Gaya,

To Bhi Meri Tarha Hai Tere Bas Mein Kuch Bi Nahi,

Insane Mera Dard Samajh Sakte Hee Nahi,

Main Apne Sare Zakhma Khuda To Dikhaunga ,

Aie. Rabbe Kayenat Idhar Dekh Mai Fakir,

Jo Teri Sarparasti Mein Barbad Ho Gaya,

*

Parwar Digar Bol Kahan Jaye Tere Log ,

Tujh Tak Pahunchne Ko Bi Wasila Zaruri Hai,

Parwar Digar Aawe Ka Aawa Bigad Gaya,

Ye Kisko Tere Deen Ke Thheke Diye Gaye,

Har Shaks Apne Baap Ke Firkhein Mein Band Hai,

Parwar Digar Tere Sahife Nahi Khule,

Kuch Aur Bhej Tere Guzishta Sahifoun Se,

Maksad Hee Hal Huwein Hai Masail Nahi Huwe,

Jo Ho Gaya So Hoo Gaya Ab Mukhtiyari Chheen,

Parwar Digar Apne Khalife Ko Rassi Dal,

Jo Tere Pas Waqt Se Pahelel Pahunch Gaye,

Parwar Digar Unke Masayil Ka Hal Nikal,

Parwar Digar Sirf Bana Dena Kafi Nai,

Takhliq Kar Ke Bhej To Phir Dekh Bhal Kar,

Ham Log Teri Kun Ka Bharam Rhkne Aaye Hain,

Parwar Digar Yaar Hamara Khayal Kar,

 


____________________________


Jo Bhi Izzat Ke Dar Se Dar Jaye,

Mat Kare Ishq Apne Ghar Jaye,


Baat Aa Jaye Jab Dua’un Par,

Isse Bahetar Hai Banda Mar Jaye,


Thodi Si Aur Der Samane Rahe

Meri Aankhon Ka Pet Bhar Jaye,


Almuhai’min Ke Ghar Bhi Khatre Hai,

Jaye Bhi To Koi Kidar Jaye,


motivational quotes in hindi


Han Akida Agar Na Kaidh Rhke

Phir To Insan Kuch Bi Kar Jaye,


Be-Basi Ki Ye Aakhri Had Hai,

Meri Aulad Aap Par Jaye,


Uske Chahere Par Aaj Udasi Thi,

Hayeeee… Afkar Alvi Mar Jaye…

 


____________________________



Afkar alvi poetry lyrics,

 

Char-Payi Pe Aa Utari Hai

Zindagi Zinda Lash Bhari Hai,

Aap Dukh De Rahe Hain Roo Raha Hoon

Aur Ye Filhal Jari Hai,

Roona Likha Gaya Hai Roote Hai,

Zimmedari To Zimmedari Hai,

Meri Marzi Jahan Bi Sarf Karun

Zindagi Meri Hai Tumhari Hai,

Dushmani Ke Hazaroun Darje Hain,

Aakhri Darja Rishte Dari Hai,

 


____________________________

Afkar alvi poetry - isse pahele ke tujhe aur sahara na mile,

Isse Pahele Ke Tuhje Aur Sahara Na Mile,

Mai Tere Sath Hoon Jab Tak Mere Jaisa Na Mile,

Aur Kam Se Kam Badle Mein Jannat Use Dedi Jaye,

Jis Mohabbat Ke Gariftar Ko Sahera Na Mile,

Log Kahete Hain Ke Ham Log Bure Aadami Hai,

Log Bhi Aise Jinhone Hame Dekha Na Mile,

Bas Yahi Kaheke Use Maine Khuda Ko Sofa,

Ittefakan Kahi Mil Jaye To Roota Na Mile,

Bad’dua Hai Ke Wahan Aaye Jahan Baith Te The,

Aur Afkar Aapko Wahan Baitha Na Mile,

 


____________________________

Afkar alvi shayari 

Tajurba Tha So Dua Ki Ke Nuksan Na Ho,

Ishq Mazdur Ko Mazduri Ke Douran Na Ho,

Mai Use Dekh Na Pata Tha Pareshani Mein,

Soo Dua Karta Tha Mar Jaye Pareshan Na Ho,



1 comment:

Powered by Blogger.