Sharabi shayari for friends. Mai sharabi nahi shayari
Sad sharabi shayari for boys.
Nasha ham kíya karte haín,
Ílzam sharab ko díya karte haín,
Kasoor sharab ka nahí unka haí,
Jínka chahera ham jam meín talasha kíya karte haín.
________________
Merí kabar pe mat gulab leke aana,
Naa hí hathon meín chírag leke aana,
Pyaasa hoo maín barson se janam,
Botal sharab kí aur ek glass leke aana.
________________
Haí ye sharab dard kí dawa mere,
Íse peene meín koí kharabí nahí,
Hota haí jab díl meín dard , too pee leta hoon,
Waíse hoon maín sharabí nahí.
________________
Hamesha yaad aatí haí unkí,
Aur mood ho jata haí kharab,
Tab hamesha lekar baíthe haí ham,
Ek hath me kalam aur ek hath meín sharab…
________________
Sharabi shayari ,
Ítní peeta hoon kee madhosh raheta hoon,
Sab kuch samajhta hoo, par khamosh raheta hoon…
Joo log karte haín mujhe geerane kí koshísh,
Maí aksar unhí ke sath raheta hoon,
________________
Ham to jee rahe the unka naam lekar,
Wo guzarte the hamara salam lekar,
Kal wok eh gaye bhula do hamko,
Wo chale gaye hathon maí jam dekar…
________________
Shíkan na dal maathe par sharab dete huye,
Ye muskuratí huwí cheez muskura ke píla….
________________
Sharab shayari.
Dukh ís tarah míla kí ghabra kar pee gaye ham,
Khushí agar thodí mílí to use bhí mílakar pee gaye ham,
Yoon to naa thí janam se peene kí aadat hameín,
Dekha jab sharab ko akela to taras khakar pee gaye ham…
________________
Ab ke sawan maín sabka hísab kar dunga,
Jíska jo bakí haí wo bhí wapas kar dunga,
Aur mujhe ís gílas maín hee kaíd rakh warna,
Pure shahar ka paní sharab kar dunga.
________________
Wo bhí dín the jab ham bhí píya karte the,
Yun na karo hamse peene pílane kí baat,
Jítní tumhare jam maín haí sharab,
Utní ham paímane maín chod díya karte the..
________________
Sharabi shayari in hindi,
Naa kabhí peete the na pílate the,
Ham to bas nazron se nazar mílate the,
Naa jane kaíse ham unse aankheín míla baíthe,
Jo sírf apní nígahon se pílate the..
________________
Har baat ka koí jawab nahí hota,
Har íshaq ka naam kharab nahí hota,
Yun to joom lete haín nashe meín píne wale,
Magar har nashe ka naam sharab nahí hota..
________________
Kab tak purana sharab pílayega,
Kab tak wahí prem katha sunayega,
Díl ka tootna khatam nahí huwa,
Kal phír koí aur naya aayega….
________________
Sharabi shayari status,
Tu dalta jaa sakí sharab mere pyale meín,
Jab tak won a níkle mere khayalon se.
________________
Peethe the sharab ham,
Usne chudadí apní khasam dekar,
Mahefíl me gaye the ham,
Yaaron ne píladí uskí khasam dekar…
________________
Tumhare naíno ke ye jo pyale haín,
Mere líye andherí raaton meín ujale haín,
Peeta hoon sharab ke jam tumhare naam ke,
Ham to sharabí be-sharab wale haín..
________________
Ab to utaní bhí baakí nahí maí-khane meín,
Jítní ham chood díya karte the paímane meín..
________________
Dekhunga kabhí aíe-sharab,
Tuje apne labon se lagakar,
Tu mujh me basegí.
Ke maín tujhme basunga..
________________
Sharabi shayari for friends,
Maín unkí aankhon se chalaktí sharab píta hoon,
Gareeb ho kar bhí mahengí sharab píta hoon,
Mujhe nashe meín wo bahekne nahí deta,
Unhe to khabar hee nahí kí maín kítní sharab píta hoon..
________________
Aatí haí jab bhí híchkíyan ab,
Sharab maín pee leta hoon,
Ab to wo wahem bhí chod díya haí,
Kí koí mujhe bhí yaad karte haí,
________________
Merí mohabbat kí taqdír dekho,
Jo ruthe the unke paígam aa rahe haí,
Jab maar dala merí pyas ne mujh ko,
Wo aankhon maín leke jam aa rahe haí,
________________
Usne hathon se chuukar daríya ko,
Paaní ko gulabí kar díya,
Hamarí baat to aur thí usne,
Machlíyon ko bhí sharabí kar díya,.
No comments: