Rahat indori ghazal - Na humsafar na kisi humnasheen se niklega lyrics,
Rahat indori ghazal lyrics - Na hum-safar na kisi hum-nasheen se niklega ,
Na hum-safar na kisi
hum-nasheen se niklegā,
Hamare panw ka kantha hāmi
se niklega,
Main janta tha ki zahrila
sanp ban-bān kar,
Tera khulus meri aastin se
niklega,
Isi gāli mein wo bhuka faqir
rahetā tha,
Talash kijiye khazanā yahin
se niklega,
Buzurg kahete the ek wāqt
aayega jis din,
Jahan se dubega suraj wāhin
se niklega,
Guzishta saal ke zakhmo hare-bhāre rahena,
Julus ab ke bāras bhi yahin
se niklega,
Naā ham-safar naa kisi
ham-nasheen se niklegā,
Hamare panw ka kantha hāmi
se niklega,
________________________
Rahat indori ghazal - mohabbaton ke safar par ,
Mohabbāton ke safar par
nikal ke dekhunga,
Ye pul-sirāt agar hai to chalk
e dekhunga,
Sāwal ye hai ki rafter kis
ki kitni hai,
Main āftab se aage nikal ke
dekhunga,
Mazaq āchha rahega ye chand-taron se,
Main aaj sham se pahle hee
dhal ke dekhungā,
Wo mere hukm ko fariyad jāan
leta hai,
Agar ye sach hai to lahja bādal
ke dekhunga,
Ujale bāntne walon pe kya guzarti hai,
Kisi charagh ki manind jāl
ke dekhunga,
Ajab nahi ki wahi roushani
mujhe mil jāye,
Main apne ghar se kisi din
nikal ke dekhungā….
________________________
Rahat indori ghazal lyrics -
Chamakte lafz sitaron se chin
lāye hain,
Ham aasman se ghazāl ki
zamin laye hain,
Wo aur honge jo khanjar
chhupa ke lāte hain,
Ham apne saath phati astin lāye
hain,
Hamari baat ki gaherāyi khaq
samjhenge,
Jo parbaton ke liye khurdbin
laye hain,
Hāso na ham pe ki har bad-nasib banjare,
Sāron pe rakh ke watan ki zamin laye hain,
Mere qabile ke bāchhon ke khel bhi hain ajib,
Kisi sipayi ki talwār chin laye hain...
No comments: