Inspirational Ghazal lyrics in Hindi, Motivational ghazal

Inspirational Ghazal lyrics in Hindi

 

Inspirational Ghazal -


Daríya ho ya pahad ho takrana chahíye,

Jb tak na sans toote jíye jana chahíye,

 

Yun to kadam kadam pe haí deewar samane,

Koí na ho to khud se ulajh jana chahíye,

 

Jhuktí huwí nazar ho kee símta huwa badan,

Har ras-bharí ghata ko baras jana chahíye,

 

Chourahe, bagh, buíldíngeín sab shaher to nahí,

Kuch aíse waíse logon se yarana chahíye,

 

Apní talash apní nazar apna tajurba,

Rasta ho chahe saaf bhtak jana chahíye,

 

Chup chup makan ‘ raste gum-sum ‘ nídhal waqt,

Ís shaher ke líye koí deewana chahíye,

 

Bíjalí ka kum-kuma na ho kala dhuna to ho,

Ye bhí agar nahí ho to bujh jana chahíye…..

 

_____________________________

 Motivational ghazal lyrics -

 
Inspirational Ghazal lyrics in Hindi



Ye to zíndagí kí kítaab haí ye kítaab bhí kya kítaab haí,

Kahín ek haseen sa khwab haí kahín jaan lewa azab haí,

 

Kahín chaa’un haí kahín dhup haí, kahín aur hee koí roop haí,

Kayí chahere ísme chupe huwe, ek ajíb sí ye naqab haí,

 

Kahín kho díya kahín paa líya kahín ro líya kahín gaa líya,

Kahín cheen letí haí har khushí kahín maherban behísab haí,

 

Kahín aanson kí haí dastan kahín muskurahaton ka bayan,

Kahín barkaton kí haí barísheín kahín tíshnagí behísab haí………..

 

_____________________________

Inspirational ghazal lyrics -

Zíndagí jeene ka pahele housla paída karo,

Sírf unchen khubsurat khwab mat dekha karo,

 

Dukh andhere ka agar míthta nahí haí zahen se,

Raat ke daman ko apne khoon se ujala karo,

 

Khud ko poshída na rakkho band kalíyon kee tarah,

Phool kahete haín tumhe sab log to maheka karo,

 

Zíndagí ke naam-lewa mout se darte nahí,

Hadsoun ka khouf le kar ghar se mat níkla karo,

 

Rahenuma ye dars ham ko de rahe haín aaj-kal,

Bech do sachhayíyan íman ka souda karo,

 

Tesh me aane lage tum to merí tankíd par,

Ís kadar has’sas ho to aayína dekha karo…..  

 

_____________________________

Inspirational ghazal -

Watan kí sar-jamín se íshaq-ó-ulfat ham bhí rakhte haín,

Kataktí jo rahe díl meín wo hasrat ham bhí rhkhte haín,

 

Zarurat ho to mar mítne kí hímmat ham bhí rhkte haín,

Ye jurrat , ye shuja’at, ye basalat ham bhí rhkte haín,

 

Zamane ko híla dene ke dawe banghne walon,

Zamane ko híla dene kí taqat ham bhí rhkte haín,

 

Bala se ho agar sara jahan un kí hímayat par,

Khuda-e-har-do-aalam kí hímayat ham bhí rhkte haín,

 

Bahar-e-gulshan-o-ummíd bhí saírab ho jaye,

Karam kí aarzu-e-abra-e-rahemat ham bhí rhkte haín,

 

Gíla na-maherbaní ka to sab se sun líya tum ñe,

Tumharí maherbaní kí shíkayat ham bhí rhkte haín,

 

Bulayí ye kee aazadí se ulfat tum bhí rhkte ho,

Burayí ye kee aazadí se ulfat ham bhí rhkte haín,

 

Hamara naam bhí shayad gunehgaron meín shamíl ho,

Janab-e-josh se sahíb salamat ham bhí rkhte haín….

 

_____________________________

Inspirational ghazal -

Safar meín dhup to hogí jo chal sako to chalo,

Sabhí haín bhíd meín tum bhí níkal sako to chalo,

 

Kísí ke waste raheín kahan badaltí haí,

Tum apñe aap ko khud hee badal sako to chalo,

 

Yahan kísí ko koí rasta nahí deta,

Mujhe geera ke agar tum sambhâl sako to chalo,

 

Kahí nahí koí suraj dhun’an-dhun’an haí faza,

Khud apne aap se bahar níkal sako to chalo,

 

Yahí haí zíndagí kuch khwab chanda ummídeín,

Ínhí khílouno se tum bhí bahal sako to chalo……


No comments:

Powered by Blogger.