Dosti shayari , Friendship quotes for boys ,

friendship quotes for boys


 New friendship shayari in hindi .

Mohabbaton Men Dikhâve Ki Dosti Na Milâ ,

Agar Gale Nahin Miltâ To Haath Bhi Na Milâ ..


________________________________



 Dosti shayari ,

Har Pal Kee Dosti Ka Irada Hai Aap Se,

Apnapan Hee Kuch Zyada Hai Aap Se,

Sath Rahenge Aap Ke Umar Bhar Ke Liye,

Hamesha Dosti Nibhayenge Wada Hai Aap Se ..


________________________________



 Dosti shayari ,

Dosti ḳhvâb Hai Aur ḳhvâb Ki Ta.Abir Bhi Hai

Rishta-E-Ishq Bhi Hai Yaad Ki Zanjir Bhi Hai

________________________________



 Dosti shayari ,

Dosti Ko Burâ Samajhte Hain

Kyâ Samajh Hai Vo Kyâ Samajhte Hain


________________________________



 Dosti shayari ,

Dosti Jab Kisi Se Ki Jaye

Dushmanon Ki Bhi Raye Li Jaye


________________________________



 Dosti shayari ,

Jo Dil Ke Ho Karib Use Ruswâ Nahi Karte ,

Yun Apni Dosti Ka Tamasha Nahi Kârte ,

Khamosh Rahenge To Ghutân Aur Badegi ,

Apnoun Se Koi Baat Chupaya Nahi Karte ..


________________________________



 Dosti shayari ,

 Aasman Se Tod Kar Seetara Diya Hai ,

Aalam-E-Tanhayi Me Ek Sharara Diya Hai ,

Meri Kismat Bhi Naz Karti Hai Mujhpe ,

Khuda Ne Dost Hee Itna Pyara Diya Hai .


________________________________



Agar Tumhâri Anâ Hi Kâ Hai Savâl To Phir

Chalo Main Haath BaḌhâtâ Huun Dosti Ke Liye


________________________________



Ham Ko Yâron Ne Yaad Bhi Na Rakhâ

'Jaun' Yâron Ke Yaar The Ham To


________________________________


 

Bhulna Chaho To Bhi Yaad Hamari Aayegi ,

Dil Ki Gaherayi Mein Hamari Tasaveer Bs Jayegi ,

Dhundhne Chale Ho Ham Se Bahetar Dost ,

Talash Hamse Shuru Hokar’ Ham Pe Hi Khatam Ho Jayegi …


________________________________


 

Dushmanon Se Pyaar Hotâ Jâyega ,

Doston Ko Âzmâte Jâ.Iye


________________________________


 

Ye Kahân Ki Dosti Hai Ki Bane Hain Dost Nâseh

Koi Chârasâz Hotâ Koi Ġham-Gusâr Hotâ


________________________________


 

Tujhe Kaun Jântâ Thâ Miri Dosti Se Pahle

Tirâ Husn Kuchh Nahin Thâ Miri Shâyari Se Pahle


________________________________


 

Dosti Aam Hai Lekin Ai Dost

Dost Miltâ Hai BaḌi Mushkil Se


________________________________



 Dosti shayari ,

 Dost Naam Hai Sukh-Dukh Kee Kahani Ka ,

Dosti Raaz Hai Sada Hee Muskurane Ka ,

Ye Koi Pal Bhar Kee Jaan-Pahechan Nahi Hai,

Dosti Wada Hai Umar Bhar Sath Nibhane Ka …K


________________________________



Friendship quotes for boys  ,

Mere Ham-Nafas Mere Ham-Navâ Mujhe Dost Ban Ke Daġhâ Na De

Main Huun Dard-E-Ishq Se Jân-Ba-Lab Mujhe Zindagi Ki Duâ Na De


________________________________



 Friendship quotes for boys ,

Mujhe Dost Kahne Vaale Zarâ Dosti Nibhâ De

Ye Mutâlba Hai Haq Kâ Koi Iltijâ Nahin Hai


________________________________



 Friendship quotes ,

Dushmanon Ne Jo Dushmani Ki Hai

Doston Ne Bhi Kyâ Kami Ki Hai


________________________________



 Dosti shayari ,

Aql Kahti Hai Dobâra Âzmânâ Jahl Hai

Dil Ye Kahtâ Hai Fareb-E-Dost Khâte Jâ.Iye


________________________________



 Dosti shayari ,

 Ek Jaise Dost Sare Nahi Hote,

Kuch Hamare Hokar Bhi Hamare Nahi Hote,

Aap Se Dosti Karne Ke Bâd Mahsus Huwa,

Kon Kaheta Hai Târe Zameen Par Nahi Hote …


________________________________



 Friendship quotes for boys ,

Patthar To Hazâron Ne Maare The Mujhe Lekin

Jo Dil Pe Lagâ Aa Kar Ik Dost Ne Maarâ Hai


________________________________



 Friendship quotes for boys ,

Log Darte Hain Dushmani Se Tiri

Ham Tiri Dosti Se Darte Hain


________________________________



 Dosti shayari ,

Hatâye The Jo Raah Se Doston Ki

Vo Patthar Mire Ghar Men Aâne Lage Hain


________________________________


 

 Milna Bichadhna Sab Kismat Ka Khel Hai,

Kabhi Nafrat To Kabhi Dilon Ka Mela Hai,

Beek Jata Hai Har Rishta Is Zamane Mein,

Sirf  Dosti  Hee Yahan Not For Sale Hai….


________________________________


 

Ai Dost Tujh Ko Rahm Na Aye To Kyâ Karūn

Dushman Bhi Mere Haal Pe Ab Âb-Dida Hai


________________________________


  

Jo Dost Hain Vo Mângte Hain Sulh Ki Duâ

Dushman Ye Châhte Hain Ki Aapas Men Jang Ho


________________________________

  

 

ḳhudâ Ke Vâste Mauqâ Na De Shikâyat Kâ

Ki Dosti Ki Tarah Dushmani Nibhâyâ Kar


________________________________


 

Dost Do-Châr Nikalte Hain Kahin Lâkhon Men

Jitne Hote Hain Sivâ Utne Hi Kam Hote Hain


________________________________


 

Dosti Aur Kisi Ä haraz Ke Liye

Vo Tijârat Hai Dosti Hi Nahin


________________________________


 

Bhuul Shâyad Bahut BaḌi Kar Li

Dil Ne Duniyâ Se Dosti Kar Li


________________________________


 

Main Hairân Huun Ki Kyuun Us Se Hui Thi Dosti Apni

Mujhe Kaise Gavâra Ho Ga.I Thi Dushmani Apni


________________________________


 

Dost Dil Rakhne Ko Karte Hain Bahâne Kyâ Kyâ

Roz Jhūti ḳhabar-E-Vasl Sunâ Jaate Hain


________________________________


 

Dushmani Ne Sunâ Na Hovegâ

Jo Hamen Dosti Ne Dikhlâyâ


________________________________


 

Fâ.Eda Kyâ Soch Âḳhir Tū Bhi Daanâ Hai 'Asad'

Dosti Nâdân Ki Hai Ji Kâ Ziyân Ho Jâ.Egâ


________________________________


 

Dosti Ki Tum Ne Dushmân Se Ajab Tum Dost Ho

Main Tumhâri Dosti Men Mehrbân Maarâ Gayâ


________________________________


 

Aa Gayâ 'Jauhar' Ajab Ultâ Zamâna Kyâ Kahen

Dost Vo Karte Hain Bâten Jo Adū Karte Nahin


________________________________


 

Dosti Bandagi Vafâ-O-ḳhulūs

Ham Ye Sham.A Jalânâ Bhuul Gye


________________________________

 



ToḌ Kar Aaj Ġhalat-Fahmi Ki Divâron Ko

Dosto Apne Ta.Alluq Ko Sanvârâ Jaye


________________________________


 

Mujhe Dushman Se Apne Ishq Sâ Hai

Main Tanhâ Aadmi Ki Dosti Huun


________________________________


 

 ‘Shaer’ Un Ki Dosti Kâ Ab Bhi Dam Bharte Hain Aap ,

Thokaren Khâ Kar To Sunte Hain Sambhal Jaate Hain Log


________________________________


 

Nigâh-E-Nâz Ki Pahli Si Barhami Bhi Ga.I

Main Dosti Ko Hi Rotâ Thâ Dushmani Bhi Ga.I


________________________________


 

Kuchh Samajh Kar Us Mah-E-ḳhūbi Se Ki Thi Dosti

Ye Na Samjhe The Ki Dushman Âsmân Ho Jâ.Egâ


________________________________


 

Mujhe Jo Dosti Hai Us Ko Dushmâni Mujh Se ,

Na Iḳhtiyâr Hai Us Kâ Na Merâ Chârâ Hai


________________________________


 

Sau Baar Taar Taar Kiyâ To Bhi Ab Talak

Sâbit Vahi Hai Dast O Garebân Ki Dosti

 


















No comments:

Powered by Blogger.