Asrarul Haq Majaz Ghazal , Romantic Poetry Of Majaz Lakhnawi ,

 Majaz Lakhnawi Famous Poetry ,

Asrarul haq majaz shayari


Majaz lakhnawi ghazal , 


Husn Ko be-hijab hõna tha ,

Shouq ko kamyab hoña thā ,

 

Hijra mein kaif-ē-iztirab ña puch ,

Khun-é-dil bhi sharab hôna tha ,

 

Tere jalwon meín ghir gayā akhir ,

Zarre ko aftàb hona thā , 


Kuch tumhari nigah kâfir thi ,

Kuch mũjhe bhi kharab hōna tha ,


Raat taron kā tutna bhí "Majaz" ,

Bayis-ē-iztirab hoña tha ...


__________________


Majaz lakhnawi famous ghazal , 

 

Junun-ê-shouq ab bhi kam nahi hāi ,

Magar wo aaj bhi barham ñahí hai ,


Bahot mushkil hai dũniya ka sanvarña ,

Teri zulfoñ ka pech-õ-kham nahí hāi ,


Bahot kuch aur bhi hai is jahañ meín ,

Ye duniya mahaz ghâm hi gham nahì hāi ,


Taqaze kyun karun paiham ña saqí ,

Kise yaan fikr-ē-besh-ō-kam nahí hâi ,


Udhar mashkũk hai merí sadaqât ,

Idhar bhi bad-gúmani kam nahí hâi ,


Meri barbadiyōn ka ham-nashinõ ,

Tumhe kya khũd mujhe bhí gham nahį hãi ,


Abhi bazm-ē-tarab se kya ũthun maín ,

Abhi to aankh bhi pur-nam ñahi hãi ,


Bain sail-ê-gham-õ-sail-ę-hawadis ,

Mera sar hai ki ab bhi khàm nahí hâi ,


"Majaz" ek bada-kash tõ hai yaqinañ ,

Jo ham sunte the wô aalam nahí hai ...


__________________


Majaz lakhnawi famous ghazal 


Kamal-ē-ishq hai diwana go gayâ hoon maín ,

Ye kis ke hath se damañ chhuda raha hoôn maín ,,


Tumhi to ho jise kahéti hai nakhudâ dúniya ,

Bacha sako tõ bacha lo ki dũbta hõon main ,


Ye mere ishq ki majbũriyan maz'allah ,

Tumhara raaz tumhi se chhûpa raha hooñ main ,


Is ek hijab pe sou (100) be-hijabiyān sadqê ,

Jahan se chahta hoon tũm ko dekhtã hoõn main ,


Batane wale vahi par batatē haín manzil ,

Hazar baar jahan se gũzar chuka hoõn maín ,


Kabhi ye zom ki tu mujh se chhũp nahi saktâ ,

Kabhi ye wahem ki khud bhi chhupā hua hooñ main ,


Mujhe sune naa kōi mast-ê-baada-ę-ishrat ,

"Majaz" toote huwe dil ki ek sada hoōn maín ...


__________________


Majaz lakhnawi ghazal , 


Khud dil mein rah ke aankh se pardā karê koí ,

Han lutf jab hai pa ke bhi dhundâ káre kôi,



Tum ne tō hukm-e-tark-ē-tamanña suna díya ,

Kis dil se aah tark-e-tamannā kare kōi ,



Duniya laraz gayi dil-ē-hirman-nasíb kí ,

Is tarah saz-ê-aish naa chheda karė koí ,



Mujh ko ye aarzū wo uthayein naqab khũd ,

Un ko ye intizar taqazā karę koì ,



Rangini-ę-naqab mein ghum hõ gayi nazar,

Kya be-hijabiyôn ka taqazā karë koi ,



Ya to kisi ko jurrat-ę-didar hi ña ho ,

Ya phir meri nigah se dekhā kare koí ,



Hōti hai is mein husn ki toũhin aie.! "Majaz" ,

Itna na ahl-ē-ishq ko ruswa kare kôi ...

 

__________________


Majaz lakhnawi  ghazal , 


Khamoshi ka tō naam hotā haí ,

Warna yun bhi kalam hotâ haí ,



Ishq ko puchta ñahi kōi ,

Husn ka ahetiram hotå hai ,



Aankh se aañkh jab nahí miltĩ ,

Dil se Dil ham-kalam hotâ haì ,



Husn Ko sharmsar karña hi ,

Ishq ka iñteqam hôta hai ,



Allah allah ye naz-ê-husn "Majaz" ,

Intizar-ê-salam hotã hai ...




No comments:

Powered by Blogger.