Ashiq the shaher mein jô purane sharab ke ,
Hain un ke din mein wàs-wase ab ehtisab kē ,
Wo jo tumhare hath se aa kar nikal gayâ ,
Ham bhi qatíl hain usi khana-kharab kê ,
Pholoon ki sej par zara aram kya kiyã ,
Us Gul-badan pe naqsh utha aayê gulab ke ,
Soye to dil mein ek jahan jagñe laga ,
Khwab ke apni aankh mein jaale thę khwab ke ,
Bas tishnagi ki aankh se dekha karõ unhein ,
Dariya ravan-davan haín chamakte sarâb ke ,
Okada itñi door naa hota to ek diñ ,
Bhar laate sans sans mein Gul aftab kē ,
Kis tarah jama ki jiye ab apne aap kõ ,
Kàghaz bikhar râhe haín purani kitab ke ,
________________________________________
Ek qatra ashk ka chhalka tô dariya kar díya ,
Ek musht-ê-khaq jo bikhri to sahera kar diya ,
Mere toote housle ke par nikalte dekh kãr ,
Us ne diwaron ko apni aũr uncha kar díya ,
Wardat-ê-qalb likhhi ham ne farzi naam sē ,
Aur hathon-hath us kō khud hi le jaa kar diya
Us ki narazi ka sũraj jab Sawa neze pe tha ,
Apne harf-ē-ijz hi ne sar pe saaya kar díya ,
Duniya bhar ki khaq kôi chhanta phírta hai ab ,
Aap ne dar se utha kar kaisa rusva kar diya ,
Ab na koi khouf dil mein aur na aankhōn mein ummid ,
Tune marh-ę-na-gahan bimar achha kar diya ,
Bhul ja ye kal tere naqsh-é-qadam the chañd par ,
Dekh un hathon ko kis ne aaj kaasa kar dìya ,
Ham to kahne ja rahe the hamzaye wassalam ,
Bich mein us ne achanak nou-gunah kar diya ,
Ham ko gali ke liye bhi lab hilâ sakte nahi ,
Ghair ko bosa diya to munh se dikhla kar diyā ,
Tirgi ki bhi koi had hoti hai akhir miyãn ,
Surkh parcham ko jala kar hi ujala kar díyâ ,
Bàzm mein ahl-ę-sukham taqtia farmate rahe ,
Aur ham ne apñe dil ka bojh halka kar diya ,
Jaane kis ke muñtazir baithe hain jhadu pher kār ,
Dil se gae khwahish ko "Adil" ham ne chaltå kar diya ..
________________________________________
Bismil ke tadapne ki adaon mein ñasha tha ,
Main haath mein talwar liye jhuũm raha tha ,
Ghunghat mein mere khwab ki tabir chhûpi thi ,
Mahendi se hatheli mein mera naam likha thā ,
\
Lab the ki kisi pyali ke honton pe jhuke thê ,
Aur hath kahin gardan-ę-mina mein padā tha ,
Hammam ke aayinē mein shab duub rahi thį ,
Cigaraton se naye din ka dhun'an phail râha tha ,
Dariya ke kinare pe meri lāsh padí thi ,
Aur pañi ki tah mein wo mũjhe dhundh raha thà ,
Malom nahi phir wô kahañ chhup gaya "Adil" ,
Saya sa koi lams ki sarhad pē mila thª ...
Subscribe to:
Post Comments
(
Atom
)
No comments: