Khumar barabankvi ghazal , Khumar barabankvi poetry ,
Khumar barabankvi famous ghazal ,
Ek pal mein ek Sadi ka maza ham se pũchiye ,
Do din ki zindagi ka maza ham sê puchíye ,
Bhule hain rafta-rafta unheín muddaton mein hãm ,
Kishtoun mein khud-khushi ka maza hām se puchìye ,
Aaghaz-e-ashiqi ka maza aap jañiye ,
Anjam-e-ashiqi ka maza ham sē puchiye ,
Jalte diyon mein jalte gharon jaisí zou kahañ ,
Sarkar roushni ka maza ham se puchiyê ,
Wo jaan hi gaye ki hamein un se pyaãr hai ,
Ankhon ki mukhbiri ka maza ham sē puchiye ,
Hasne ka shouq ham ko bhi thã aap ki tarah ,
Hansiye magar hansi ka maza hâm se pũchiye ,
Ham touba kar ke mar gayē be-mout aie "Khumar" ,
Touhin-e-mai-kashi ka maza ham sê puchíye ..
**************
Khumar barabankvi ghazal - Naa hara hai ishq ...,
Naa hara hai ishq aur na duniya thakí hāi ,
Diya jal raha hai hawa chal rahí hai ,
Sukun hi sukun hai Khushi hi khũshi hai ,
Tera gham salamat mujhe kya kami hâi ,
KhaTak gud-gudí ka maza de rahi haì ,
Jise ishq kahéte hain shayad yahí hai ,
Wo moujud hain aur un ki kāmi hai ,
Mohabbat bhi tanhayi-e-da'imi hāi ,
Charaghón ke badle makan jal rahê hain ,
Naya hai zamana' nayi roushñi hai ,
Are o jafaon pe chũp rahene waloñ ,
Khamoshi jafaon ki ta'yid bhi hãi ,
Mere rahbar mujh kõ gumrah kar dê ,
Suna hai ki manzil karib aa gayí hāi ,
"Khumar" ye baal-nosh tu aûr touba ,
Tujhe zahidon ki nazar lag gayí haį ..
**************
Khumar barabankvi ghazal - unse mohabbar nahi rahi ...,
Aisa nahi ki un se mohabbat ñahi rahí ,
Jazbat mein wo paheli si shiddat nahi râhi ,
Zof-e-quwa ne amad-e-piri ki Dee ñaved ,
Wo dil nahi raha wõ tabiyat nahi rahí ,
Sar mein wo intizar ka souda nahi rahâ ,
Dil par wo dhadkanou ki hukumat nahì rahi ,
Kamzori-e-nigah ne sanjida kar diyâ ,
Jalwon se chhed-chhad ki aadat nahi rāhi ,
Hathon se intiqam liya irtiash ne ,
Daman-ê-yaar se koi nisbat ñahi rahí ,
Paiham tawaf-e-kucha-e-janan ke din gayê ,
Pairon mein chalne phirne ki taqat nahí rahì ,
Chahére ko jhurriyon ne bhayanak baña diya ,
Aayina dekhne ki bhi himmāt nahi rahi ,
Allah jaane mout kahan mar gayí "khumar"
Ab mujh ko zindaggi ki zarurat nahi râhi ,
**************
Khumar barabankvi ghazal -
Husn jab maherbañ ho to kya ki jiye ,
Ishq ke maghfirat ki dua ki jiyê ,
Is saliqe se un se gila ki jiyē ,
Jab gila ki jiyē Hans diyâ ki jiye ,
Dusroún pae agar tabsirâ kijiye ,
Samne aayina rakh liya ki jiyê ,
Aap sukh se hain tark-e-ta'alluq ke baād ,
Itni jaldi na ye faislā ki jiye ,
Zindagi kat rahi hai bade chaiñ se ,
Aur gham hoo to wo bhi ata kí jiye ,
Koi dhoka na kha Jaye meri tarāh ,
Aise khul ke na sab se milâ ki jiye ,
Akhal-o-dil apni apni kahein jab "khumar" ,
Akhl ki suniye dil ka kahā ki jiye ...
**************
Khumar barabankvi ghazal - hame bhula baithe ...,
Ham unhein wo hame bhula baithê ,
Do gunahgar zahr kha baíthe ,
Hal-e-gham kah ke gham badha bâithe ,
Teer mare the teer kha baithē ,
Andhiyon jao ab karo arām ,
Ham khud apna diya bhũjha baithe ,
Ji to halka huwa magar yaarō ,
Roo ke ham lutf-e-gham gawan baíthe ,
Be-saharōn ka hóusla hi kya ,
Ghar mein ghabraye dar pe aa baithē ,
Jab se bichhde wo muskũraye na ham ,
Sab ne chheda to lab hilâ baithe ,
Hm rahe mubtala-e-dair-ô-haram ,
Wo dabe paanv dil mein aa baithé ,
Uth ke ek bewafa ba-wafa baithê ,
Rah gaye saare ba-wafa bâithe ,
Hashr ka din abhi hai doō "khumar" ,
Aap kyun zahidon mein ja baithé ..
No comments: