Mohabbat rahi char dín zindagi meiñ ,
Raha char dín ka asar ziñdagi bhar ,
______________
Farishtouñ se bhi achha maiñ bura hone se pahele thâ ,
Wo mujh se intihayi khũsh khafa hōne se pahele tha .
______________
Ishq to har shaks kartâ haí "shuoor" ,
Tum ne apna haal yê kya kar líya ,
______________
Bura bure ke alawa bhalā bhi hōta hai ,
Har aadami mein koi dusra bhi hôta haí .
______________
Kiya badalón mein safar zíndagi bhâr ,
Zamin par banaya naa ghār ziñdagi bhar ,
______________
Is ta'allûq mein nahi Mumkin talāq ,
Ye mohabbat hai kôi shadi nahí .
______________
Janab ke rukh-e-roushan ki deed Hô jaatí,
To ham siyah-nasibōn ki Eid ho jaâti .
______________
Kafi nahi khutut kisi baât ke líye ,
Tashrif layiyegā mulaqat ke líye ,
______________
Ittifaq apñi jagāh khush qismati apni jagäh ,
Khud banata hai jahañ mein aadamí apni jāgah .
______________
Musküraye baghair bhi wo hónth ,
Nazar aate hain muskuraye hūwe ,
______________
Zindagi ki zaruratoûn ka yahañ ,
Hasratoun mein shumär hotā haín ,
______________
Mere ghar ke tamâm darwazē ,
Tum se karte haiñ pyar aa jaō ,
______________
Lagi raheti hai ashkōn ki jhadi garmí ho sardi Hô ,
Nahi rukti kabhi barsat jab se tũm nahi aaÿê ,
______________
Kabhi rōta tha us ko yaad kar kē ,
Ab aksar be - sabab roñe laga hoōn. ,
______________
"Shuoor" sirf irade se kuch nahi hôta ,
Amal hai shart iradé sabhi ke hōte haiñ ,
______________
Hai pattharoun ki zad pe tũmhari gali meín ham ,
Kya aaye the yahan isi barsat ke liyê ,
______________
Tha wada sham ka magar aaye wō raat kô ,
Main bhi kiwad khōlne fouran nahi gayâ ,
______________
Kah to sakta hoon magar majbûr kar saktā nahí ,
Ikhtiyàr apni jagah hai , bebasi apñi jagāh ,
______________
Sabhi zindagi ke mazē lutate haiñ ,
Na aaya hamein ye hũnar zindagí bhar ,
______________
Log sadmoun se mar ñahi jaatê ,
Samane ki misal hai mêri ,
______________
Kis qadar bad - namiyan hain mêre saath ,
Kya bataûn kis qadar tañha hoōn maín ,
______________
Achchoũn ko to sab hi chahtē haín ,
Hai koi kê main bahot bûra hooñ ,
______________
Sirf us ke honth kàghaz par bana deta hoōn maín ,
Khud bana leti hai honthoun par hañsi apni jâgah .
______________
Achha khasa baithe baithe ghúm ho jaatâ hooñ ,
Ab main aksar main nahi rahetā túm ho jaâta hoon .
Subscribe to:
Post Comments
(
Atom
)
No comments: