Ye mat puchô ki kaisa aadamí hooñ ,
Karoge yaâd ' aisa aadāmi hoón ,
Mera nam - ô - nasab kya puchte hō .?
Zalil - o - khwar - ô - rusva aadami hooñ ,
Ta'arruf aur kya is ke síva hò ,
Ki main bhi aap jaisa aadâmi hooñ ,
Zamane ke jhamelōn se mujhe kyâ .?
Meri jaañ.! Main tūmhara aadamí hõon ,
Chale aaya karõ meri taraf bhií ,
Móhabbat karné wala aadami hoôn ,
Tawajjoh me kami beshi ña jaano ,
Azizon.! Main akela aadāmi hoón ,
Guzarun ek jaisa waqt kab tâk ,
Koi patthar hoōn main yaa aadamí hooñ ,
"Shuoor" aa jao mere sath lekìn ,
Main ek bhatka huwa sa aadâmi hooñ ...
___________________________________
Bura bure ke alawa bhalā bhi hota hāi ,
Har aadami mein kôi dusra bhi hota haí ,
Tum apne des ki soughat hō hamare liyê ,
Ki húsn tohfa - ę - ab - o - hawâ bhi hota haì,
Muqablē pe kamar - bastã ham nahi hõte ,
Agar shikast ka khatrā zara bhi hotå hai ,
Tumhare shaher mein hai jií laga huwã warña ,
Musafiroũn ke liye rasta bhi hota hâi ,
Wo chahére ek tasawwur bhi hai haqiqât bhi ,
Dàricha bañd bhi hõta hai wa bhi hotå haí ,
Ham aie.! "Shuoor" akele kabhi nahi hôte ,
Hamare saath hamara khûda bhi hotā haí ..
_____________________________________
Ittifaq apñi jagah khush - kismati apni jagâh ,
Khud banata hai jahañ mein aadamí apni jagah ,
Kah to sakta hooñ magar majbũr kar sakta nahí ,
Ikhtiyàr apni jagah hai bebasí apní jagah ,
Kuch na kuch sachhayi hōti hai nihañ har baat meiñ ,
Kahne wale thhik kahté hain sabhi apni jagāh ,
Sirf us ke honth kàghaz par baña deta hoon main ,
Khud bana leti hai honthoun par hañsi apni jâgah ,
Dost kahéta hoon tumhen shayar nahi kahetā "Shuoor" ,
Dosti apni jagah hai Shayari apñi jagāh ...
__________________________________________
Farishtoun se bhi achha mai bũra hone se pahelê tha ,
Wo mujh se intihayi khũsh' khafa hone se pahelē tha ,
Kiya karte the baatein zindagi - bhar saath deñe kí ,
Magar ye housala ham meiñ juda hoñe se pahelé tha ,
Haqiqât se khayal achha hai bedari se khwab achhā ,
Tasawwur mein wo kaisa samaña hône se pahele tha ,
Agar ma'adâm ko moujud kahene meiñ ta'ammul haí ,
To jo kuch bhi yahañ hai aaj kya hône se pahele tha ,
Kisi bichhde huwe ka loût aana ghair - mumkin hai ,
Mujhe bhi ye gûman ek tajurba hone se pahelè thâ ,
"Shuoor" is se hamein kya intíha ke baad kyā hoga ,
Bahot hōga to wo jo íbtida hone se pahele thâ ....
Subscribe to:
Post Comments
(
Atom
)
No comments: