Shayari of Munawwar Rana, Munawwar Rana Ghazal.
Munawwar Rana Ghazal - Kuch din rahegi sath javani hee kyun na ho,
Mahefil mein aaj marsiya-khavani hée kyun na hó ,
Ankhon se bahene dée jiye paani hi kyún na ho ,
Nashhe ka ehtimam se rishta nàhin koi ,
Paigham us ka aaye zabani hee kyuñ na ho ,
Aise ye gham ki raat guzarña muhal hai,
Kuch bhi suna mujhe vo kahani hee kyûn na ho,
Koi bhi sath deta nahi umàr-bhar yahàn,
Kuch din rahégi sath javani hee kyun na ho,
Is tishnagi ki qaid se jaîse bhi ho nikal,
peene ko kuch bhi chahiye paani heê kyun naho,
Duniya bhi jaise taash ke pattoũn ka khel hai ,
Joker ke sath raheti hai raañi hee kyun na ho,
Tasveer us ki chahiye har hal meįn mujhe,
Pagal ho sar-phiri ho diwañi hee kyun na ho,
Sona to yaar Sona hai chahé jahan rahe,
Biwi hai phir bhi biwi purâni hee kyun na ho,
Ab apne ghar mein rahene na dengeín kisi ko ham,
Dil se nikal dengen nishani heé kyun na ho,
------------------------
Munawwar Rana Famous Ghazal - Han ijazat hai agar koi kahani aur hai,
Han ijazat hai agar koi kahani aûr hai,
in khatoroun mein abhi thoda sa pañi aur hai,
Mazhabi mazdur sab baithe hain iñko kaam do,
ek imarat shahr mein kaafi pûrani aur hai,
Khamoshi kab chiikh ban jaye kise malôm hai ,
Zulm kar lo jab talak ye be-zabañi aur hai ,
Khushkh patte aañkh mein chubte hain kantoun ki tarha ,
Dashta mein phirna alag hai baghbañi aur hai ,
Phir vahi uktahatein hongi badan choúpal mein,
Umar ke qisse mein thōdi si javani aur hai,
Bas isi ehsas ki shiddar ne búdha kar diya,
Toote-phoote ghar mein ek ladki siyañi aur hai ,
------------------------
Munawwar Rana Ghazal - Main isse pahele ke bikhrun idhar-udhar ho jaun,
Main isse pahele ke bikhrún idhar-udhar ho jaun,
Mujhe samabhal le mũmkin hai dar-ba-dar ho jaun,
Ye ab-ø-tab jo mujh mein hai sab usi se hai ,
Agar vo chhod de mujh ko to main khañd-har ho jaun ,
Meri madad se khujuroūn ki fasla pakne lagi,
Main chahta hoon ki sahe'ra ki dòpahar ho jaun,
Main aas-pas ke mousâm se hoon tar-o-taza,
Main apne jhhundh se nikalun to bê-samar ho jaun,
Badi ajib si hidayat hai us ki yaãdoun mein,
Agar main chhu loon' pasįne se tar-ba-tar ho jaun,
Mai kachhi mithhi ki sùrat hoon tere hathon mein,
Mujhe too dhal de aisi ki mõ-tabar ho jaun,
Bachi-kuchi huwi sanson ké sath pahunchana,
Suno hawaon agar main shikasta-pār ho jaun ...
No comments: