Romantic Ghazal.! Bashir Badr Shayari.! Love Poetry .!

Romantic Ghazal In Urdu .!

Romantic Ghazal


Wo shaakh hai Naa Phóol, Agar Titliyàn Naa Ho ,
Wo Ghar bhi koi ghàr hai' jahan bachhiyañ Naa Ho ,


Palkon se aansu'on kee mahàk aani chahiyé,
Khali hai Aasman agar bàdliyan naa hó ,


Dushman ko bhi khûda kabhi aisa makañ naa de,
Taaza hawa kee jisme kahi khįdkiyan na ho,


Mai puchta hoon meri gàli me wo aaya kyún,
Jis dakiya( postman) ke pas teri chíttiyan na ho ,


- Bashir Badr


_  _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _


Kabhi to Aasman se chañd utre jaam hó jaye ,
Tumhare naam ki ek khúbsurat sham ho jayé ,

Hamara dil sabere ka súnhara jaam ho jàye,
Charaghon kee tarha aankheín jale sham ho jayé ,

Ajab halat thhi yún dil ka souda ho gaya akhír,
Mohabbat kee havéli jis tarha nilam ho jàye,


Samañdar ke safar me is tàrha aawaz do ham ko,
Hawayen tez ho aúr kashtíyon me sham ho jaye,


Mai khud bhi ehtiyatan ús gali se kam guzrta hoón,
Koi Masum kyon mere liye bâdnam hó jaye,


Mujhe malom hai us ka thikana phír kahan hogà,
Parinda Aasman chhũne me jb nakam ho jayé ,


Ujale apni yaadon ke hamaré sath rahne dó,
Naa jaane kis gali meiñ zindagi kį sham ho jaye.....,!
 
- Bashir Badr

_  _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _

No comments:

Powered by Blogger.