Faiz ahmed faiz Popular Poetry.! faiz ahmad faiz hum dekhenge ,

Faiz Ahmed Faiz : Hum Dekhenge...!

Faiz ahmed faiz image.!faiz ahmed faiz hum dekhenge.hum dekhenge image

About Faiz Ahmed Faiz:-

Faiz ahemd Faiz ki paidaísh 3 February 1911 ko hindustan (jo ab pakistan me hai) ke siyalkot ke nazdìk kasba qadhir Khañ me huwa tha .....

                       Unke pità(Walid - father) ka naam Choudary "Sultan Mohammad khàn" ,
Aúr Maa ka naàm "Sultan Fatima" tha.

               Faiz Shayar ke sàth-sath patrkar(reporter), aur geetkàr, bhi the
Pakistani hukumat ne 1951 aúr 1958 me unhe jhel (cell) bhi bhéja aur unki aawaz dabane ki kóshish ki, 1965 aur 1971 me Bharat-pakistan yúdh ke douran unhone Pakistani fouj (army) ki housala afhzayì ke liye watan parasti ki nazme likhñe se inkar kar diya ,
                Pichle kuch dinó se aap ne hindustan me Faiz Ahmad Faiz  ki bahót hi mashhur aur inkalàbi  nazam "HUM DEKHENGE" suni hógi. Aaj hum is pôst me yeh puri nazam laye haiñ ....

_____________________________________________


Faiz ahmed faiz poetry " Hum Dekhenge".!


Ham dekhengé ,
Laazim hai ke hum bhi dékhenge ,
Hum dekheñge,,

Woh din ke jis ka waàda hai ,
Jo louh-e-azal pe líkha hai ,
Hum dekhengè ,
Hum dekhénge ,


Jb zulm-o-sitam ke koh-é-giran ,
Rooh ki tarha údh jayenge ,
Hum mahkoomom ke paón tale ,
Ye dharti dhar-dhar dharkégi ,
Aur ahl-e-hakam me sar upàr ,
Jab bijli kar-kar karkegí ,
Hum dekhengê ,
Húm dekhenge ,,



Jab arz-e-khuda ke kabe sé ,
Sab buth uthaye jayeñge ,
Hum ahl-e-safaa mardoód-e-haram ,
Masnad pe bithâye jayenge ,
Sab taj uchhàle jaayenge ,
Sab takhth gîraye jaayenge ,
Hum dékhenge ,
Hum dekhengè ,,



Bs naam rahega Allah ká ,
Jo gaayab bhi hai hazír bhi ,
Jo manzar bhi hai Nazír bhi ,
Uthayega ana-l-haqq ka ñaara ,
Jo main bhi hoon aur túm bhi ho ,
Aur raaj karegi khalq-e-khúda ,
Jo main bhi hoon aur tum bhi hô ,
Hum dekheñge ,
Lazim haí ke hum bhi dekhenge ,
Hûm dekhenge ...

No comments:

Powered by Blogger.