Munawwar Rana Ghazal - Dukh to ye hai mera dushman hi nahi hai koi,

Tu kabhi dekh to rote huwé aakar mujh ko - Munawwar Rana !



Tu kabhi dekh tó rote huwe aakar mújh ko,
rokna padta hài aankho se samañdar mujh ko,

Isme aawara míjazi ka koi dakhl nàhi,
Dasht-o-sahra me firaata hai mukaddàr mujh kó,

Ek tuti huwi kashti ka músafir hoon maín,
Haan nigal jaayenga ek róz samundàr mujh ko,

Isse badhkar méri tauhin-ê-anaa kya hógi,
Ab gadaagar bhi samjhté hai gadaagar mújh ko,

Jakhm chahére pe, lahóo aankho me, seena chhalñi,
Zindgi ab to ódhaa de koi chaadar mujh kò,

Meri aankho ko wo bínaai ataa kar móula,
Ek aansu bhi nazàr aaye samundar mûjh ko,

Koi is baat ko maane ki ñaa mane lekín,
Chaand lagta hai tere maàthe ka jhoômar mujh ko,

Dukh to ye hai mera dúshman hi nahi hai koi,
Ye mere bhai hai kàhte hai jo babar mujh kõ,

Mujhse aangan ka andhéra bhi nahi mîth paayà,
Aur dÅ«niya hai ki kahti hÃ¥i ‘MUNAWWAR’ mujh ko..

No comments:

Powered by Blogger.