Mehshar afridi shayari ,, mehshar afridi poetry ,

Mehshar Afridi Best Romantic Poetry.!



{ Mehshar afridi hindustañ ke bahot hi khubsuràt aúr aasañ zaban mein ghazal padhñe wale shayàr haiñ ,  inki paidayish (birth) hindustan ke uttarakhand me huwa , Friends aaj aap kø is post meiñ mehshar afridi sahab ki bahot hi famous aur bahot hi khúbsurat ghazaleín padhñe ko milengĩ , ummíd kartà hoóñ aap sàb kô ye post pasañd aayé gí  }



Mehshar afridi ghazal - Aña kà bojh kabhi jism se utar ke dekh,



Aña kà bojh kabhi jism se utar ke dekh,
Mujhe zabàn se nahi ruh se pukàr ke dēkh,

Merī zamin pe chal têz-tez qadmon se,
Phïr us ke Bàad tu jalve mere ghubar ke dekh,

Ye ashq Dil pé gireín to bahut Chamakta hai,
Kabhi ye aayina tezāb se nikhar ke dekh,

Na puch mujh se tere qurb
Ka Nāsha kya hai,
Tú apni aankh méin dóre mere khumar ke dekh,

Zāra tujhe bhi to ehsas-ē-hijr ho Jaàna,
Bas ek raat mere haál mein guzar ke dekh,

Abhi tō sirf kamal-ē-ghurur dekha hai,
Tūjhe qasam hāi tamashe bhi inkisar ke dēkh .....


Mehshar afridi poetry - Tere honthon ke tabassúm ka talabgar hooñ main ,



Tere honthon ke tabassúm ka talabgar hooñ main ,
Apne gham bech de raddi kã kharidár hoón maín ,


Mere halat pe takabbûr nahi afsōs bhi kar ,
Tera Aashiq nahi jaaña tera bimâr hooñ màin ,

Kal terí hosh rúhayi se hua tha aàzad , 
aaj phir ek naye jadu mein giraftar hóon main ,

In dino yún ki tera ishq garañ haí mujh pàr ,
Be-dilí aisi ke apñe se hi bézar hoon maîn ,

Mere har gham ki kifalât bhi mera zimmã haì ,
Apñe gham-khana-e-hashtĩ ka azadar hoón maiñ 


Hanste hanste meri aañkhon mein nami aa gaÿi hãi ,
Tuñe dekhà nahi kis darjà adàkar hoon māi ,


No comments:

Powered by Blogger.