Mehshar afridi ghazal ! Mehshar afridi romantic poetry ,

Beautiful Poetry By Maheshar Afridi.....

mehshar afridi ghazal .,Love Poetry,Maheshar Afridi Shayari,




Romantic Poetry - Nashe ki Aag mein dekha gulab yaañi tu ,



Nashe ki Aag mein dekha gulab yaañi tu ,
Badan ke jam mein desi sharab yaní tu ,

Hamãre nabs ñe sab tar kàs diya ûs ke,
Wo jhanjhnañe Kó Bekal rabab ÿani tú ,

Har ek chahera Nazàr se jhúka hua dekha,,
Har ek Nazar se achhúta shabab yâni tu ,

Safed qalamén huwi to siyah-zúlf Mili ,
Ab aisi umr méin ye inqãlab yani tu ,

Main khud hi apñi nigahon ki dad déta hoon ,
Hazar chahéron mein ek intîqab yani tû ,

Mile mile Na mile nekiyon kà phal mũjh Ko,
Khuda ne de diya munh Kô sawab yañi tu ,

Gudaz jism Kamal hoñth marmari bàhen,
Meri tabiyat pé likhi kitab yanĩ tu ,

Main tere ishq sé pahle guñah Karta thha,
Mujhe diya Gaya azàb yani tü ........




                          - - - - - - - - - - - - 

Mehshar afridi ghazal - Lab-e-sahíl samúndar ki faravañi se mar jaa'ún



Lab-e-sahíl samúndar ki faravañi se mar jaa'ún ,
Mujhe wó pyas haí shayâd ki maín paañi se mar jàa'un


Tum us ko dekh kâr chhu kar bhi ziñda lout aayé ho ,
Main ús ko khawàb mein dekhún to haírani se mar jaa'uñ 


Main itña sakht-jaàn hoon dam badi mushkíl se nikle gà ,
Zara taklif badh jaaye to asañi se màr jaa'un, 


Ghanimàt hai parinde merí tanhayi samajhte haiñ ,
Agar ye bhi na ho to ghar ke virañe sê mar jaa'uñ ,


Nazar-añdaz kar mujh ko zara sa khul ke jiíne de ,
Kahi aisa ña ho teri nigahbàni Sé màr jaa'ûn ,


Bahót se sher mujh se khuñ thukwate haín aamad par ,
Bahot múmkin hai main ek din ghazal-khwañi se mar jaa'ûn ,


Teri nazrón se gir kar aaj bhi zindâ hoon main kya khúb ,
Taqaza hāi ye ghairàt ka pashemañi se màr jaa'un ..

 

No comments:

Powered by Blogger.