Tahzeeb Hafi Poetry - Kise khabar hai ke umar bs us pe gour karne mein kat rahi hai,
Romantic Shayari By Tahzeeb Hafi
Tahzeeb hafi shayari ,
Tahzeeb hafi ghazal - Kise khabar hai ke úmar bs us pe , Gour karne mein kat rahí hai ,
Kise khabar hai ke úmar bs us pe Gour karne mein kat rahí hai ,
Ke ye udasi hamare jismón se kis khushi mein lipàt rahi hai ,
Ajib dukh hai húm us ke ho kar bhí
Us ko chhúne se dar rahè hain ,
Ajib dukh hai hàmare hisse ki aagh🔥auroun méin bat rahi hai ,
Main us ko hàr roz bs yahi ek jhuth sunñe ko phone karta ,
Suno yahan koí mas'ala hai tumhari awàz kat rahi hai ,
Mujh jaise pedoun🌳 ke sukhne aúr sabz hone sé kya kisi ko ,
Ye bel shayad kisi músibat mein hai jo mujh se lípat rahi hai ,
Ye waqt aane pe apni aulad apñe azdad béch degi ,
Jo fouj dushman ko apña salar girvi rakh kr palàt rahi hai ,
So is ta'alluq mein jó ghalat fahmiyan thhi ab door ho rahí hai ,
Rukhi húwi gadiyon ke chalne ka wàqt hai dhundh chhath rahi hai ,
No comments: