Anjum rahbar ki shayari , Love shayari ,

Best Shayari Of Anjum Rahbar!

mushaira shayari,Love shayari,Anjum rahbar shayari,

Dil kee kismat badal ña payega,
Bandanou se nikal na payéga,
Tujh ko duníya ke sath chalna hai,
Tu mere sath chal na payéga,

 
________________________________________________

love shayari , 


mushaira shayari,Love shayari,Anjum rahbar shayari,


Itne karib aake sda(aawaz) de gàya mujhe,
Mai bujh rahi thhi,koi hawa de gaya mújhe.


________________________________________________

love shayari ,

Dosti kya hai ye duniya ko bhi añdaza lage,
Khat use likhna to dushman ke pate pr likhña .


________________________________________________

anjum rahbar shayari ,

Sath chhúte thhe, sath chhute hain,
Khwab toote thhe, khwab toóte hain,
Mai kahan jaakar sach talash karún,
Aajkal aayine bhi jhute haín ...


________________________________________________



Anjum Rahbar Be-wafa Ghazal ...
  
Aag bahate hue pàni me lagane aayi,
Tere khat📨 aaj main dariya me bàhane aayi,
Phir teri yaad naye khwab díkhane aayi,
Chandani jhil ke pani me nahañe aayi,
Din saheli ki tarha sath raha aañgan me,
Raat dushman ki tarha jaan jalane aayí,
Mai ne bhi dekh liya aaj use gaír ke sath,
Ab kahi ja ke meri aqhl thhika ne aayî ,
Zindagi to kisi rahjan ki tàrha thhi "anjum",
Mout rahbar ki tarha râh dikhane aayi ..



________________________________________________



Anjum Rahbar Sad Poetry--

Tum ko bhul rahi thhi ki túm yaad aagaye,
Mai zahar kha rahi thhi ki tum yàad aagaye,
Kal meri ek pyari sahéli(friend) kitab(Book) me,
Ek khat📨 chhupa rāhi thhi ke tum yaad aagaye,

Us waqt raat-raani meré sune sahan me,
Khushbu luta rahi thhi ke túm yaad aagaye,

Iman janiye ke ise kurfh janíye,
Mai sar(head) jhuka rahi thhi ke túm yaad aagaye,

Kal sham chat pe "mir-taqi-mir" kí Ghazal,
Mai gun-guna rahi thhi ke tum yaad aagàye,

"Anjum" tumhara shahar jídhar hai usi tarhfh,
Ek rail 🚞 jaa rahi thhi ke tum yàad aagaye,

 

________________________________________________


Anjum Rahbar Ghazal - 
Kuch din se zindagi mujhe pahchanti nahi,

Kuch din se zindagi mújhe pàhchanti nahi,
Yon dekhti hai jaise mujhe jaānti ñahi,

Wo be-wafa jo rah me taqra gayà kahi,
Kah dungi mâi bhi safh ke pahchañti nahi ,

Samjhaya bar-han ki bacho pyar-wyar se,
Lekin koi saheli kaha manati nahi,

Mai ne tujhe muaa'fh kiya ja kâhi bhí ja,
Mai bujdiloun pe apni kaman tañati nahí ,

"Anjum" pe hans (laughing) ràha hai to hasta rahe jahañ,
Mai be-bewakhufhiyoún ka bura mañati nahi...

No comments:

Powered by Blogger.